Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koshish ke bawajud bhi sakin nahin raha

Khurram Afaq

koshish ke bawajud bhi sakin nahin raha

Khurram Afaq

MORE BYKhurram Afaq

    koshish ke bāvajūd bhī sākin nahīñ rahā

    kuchh din maiñ sāmne rahā kuchh din nahīñ rahā

    pahle ye rabt merī zarūrat banāoge

    aur phir kahoge rābta mumkin nahīñ rahā

    ham ek vārdāt se thoḌe duur haiñ

    vo haath lag gayā hai magar chhin nahīñ rahā

    schōl ke dinoñ se mujhe jānte ho tum

    maiñ aaj tak savāl kiye bin nahīñ rahā

    ik raat us ne chand sitāre bujhā diye

    us ko lagā thā koī unheñ gin nahīñ rahā

    koshish ke bawajud bhi sakin nahin raha

    kuchh din main samne raha kuchh din nahin raha

    pahle ye rabt meri zarurat banaoge

    aur phir kahoge rabta mumkin nahin raha

    hum ek wardat se thoDe hi dur hain

    wo hath lag gaya hai magar chhin nahin raha

    school ke dinon se mujhe jaante ho tum

    main aaj tak sawal kiye bin nahin raha

    ek raat us ne chand sitare bujha diye

    us ko laga tha koi unhen gin nahin raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now