koshish to barha thi meri par na ban saka
koshish to bārhā thī mirī par na ban sakā
ḳhvāboñ kā ik makāñ to banā ghar na ban sakā
bantā rahā bigaḌtā rahā umr-bhar ye dil
lekin tamām umr ye patthar na ban sakā
masnad ke aage itnā jhukāyā hai apnā sar
bachchoñ kā mere dhaḌ to banā sar na ban sakā
maiñ mubtalā to rah gayā tere hisār meñ
afsos ye ki maiñ tirā mehvar na ban sakā
us kī galī balā kī kushāda galī thī 'saif'
mere liye vahāñ bhī magar dar na ban sakā
koshish to barha thi meri par na ban saka
KHwabon ka ek makan to bana ghar na ban saka
banta raha bigaDta raha umr-bhar ye dil
lekin tamam umr ye patthar na ban saka
masnad ke aage itna jhukaya hai apna sar
bachchon ka mere dhaD to bana sar na ban saka
main mubtala to rah gaya tere hisar mein
afsos ye ki main tera mehwar na ban saka
us ki gali bala ki kushada gali thi 'saif'
mere liye wahan bhi magar dar na ban saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.