koshish zara si ki jo duaon ke sath sath
koshish zarā sī kī jo duāoñ ke saath saath
jalne lage charāġh havāoñ ke saath saath
nikle bahār oḌh ke kuchh ḳhushnumā badan
ḳhushbū bhī ham-safar hai qabāoñ ke saath saath
chehra-kushā huā hai koī gesuoñ ke beach
lagne lagī hai dhuup bhī chhāñv ke saath saath
shahroñ se muḳhtalif haiñ ye gaañv kī laḌkiyāñ
bhartī haiñ gāgareñ bhī adāoñ ke saath saath
yuuñ to maiñ is dayār se kuchh bhī na lā sakā
kuchh ḳhaak lag ke aa ga.ī paañv ke saath saath
koshish zara si ki jo duaon ke sath sath
jalne lage charagh hawaon ke sath sath
nikle bahaar oDh ke kuchh KHushnuma badan
KHushbu bhi ham-safar hai qabaon ke sath sath
chehra-kusha hua hai koi gesuon ke beach
lagne lagi hai dhup bhi chhanw ke sath sath
shahron se muKHtalif hain ye ganw ki laDkiyan
bharti hain gagaren bhi adaon ke sath sath
yun to main is dayar se kuchh bhi na la saka
kuchh KHak lag ke aa gai panw ke sath sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.