koshishen jitni bhi hoti rahin suljhane ki
koshisheñ jitnī bhī hotī rahīñ suljhāne kī
zindagī aur ulajhtī rahī dīvāne kī
jāda-paimā.ī kā phir shauq huā hai mujh ko
vus'ateñ aur baḌhā do zarā vīrāne kī
ho sadāqat pe jo mabnī tire aane kī ḳhabar
aur baḌh jā.egī raunaq mire kāshāne kī
log kahte haiñ ki iksīr-sifat hotī hai
ham bhī kuchh ḳhaak uThā laa.e haiñ maiḳhāne kī
hai baḌā farq agar ġhaur se dekhā jaa.e
ek manzil hī sahī sham' kī parvāne kī
'ishq ne mujh ko kahīñ kā bhī na chhoḌā 'bismil'
ab hai pahchān yagāne kī na begāne kī
koshishen jitni bhi hoti rahin suljhane ki
zindagi aur ulajhti rahi diwane ki
jada-paimai ka phir shauq hua hai mujh ko
wus'aten aur baDha do zara virane ki
ho sadaqat pe jo mabni tere aane ki KHabar
aur baDh jaegi raunaq mere kashane ki
log kahte hain ki iksir-sifat hoti hai
hum bhi kuchh KHak uTha lae hain maiKHane ki
hai baDa farq agar ghaur se dekha jae
ek manzil hi sahi sham' ki parwane ki
'ishq ne mujh ko kahin ka bhi na chhoDa 'bismil'
ab hai pahchan yagane ki na begane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.