koshishen kar ke dil bura kiya tha
koshisheñ kar ke dil burā kiyā thā
us parinde ko jab rihā kiyā thā
kam aziyyat meñ jaan chhūT ga.ī
apne qātil se mashvara kiyā thā
ḳhaak se jitnā zahr jazb kiyā
apnī shāḳhoñ se rūnumā kiyā thā
maiñ ne ik din biThā ke bachchoñ ko
apne ajdād kā gilā kiyā thā
ham se sarzad huā thā kār-e-ḳhair
kyā batā.eñ ki ham ne kyā kiyā thā
vaise vo merī dastaras meñ hai
ehtiyātan muhāsara kiyā thā
koshishen kar ke dil bura kiya tha
us parinde ko jab riha kiya tha
kam aziyyat mein jaan chhuT gai
apne qatil se mashwara kiya tha
KHak se jitna zahr jazb kiya
apni shaKHon se runuma kiya tha
main ne ek din biTha ke bachchon ko
apne ajdad ka gila kiya tha
hum se sarzad hua tha kar-e-KHair
kya bataen ki hum ne kya kiya tha
waise wo meri dastaras mein hai
ehtiyatan muhasara kiya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.