koThari Thik na koThi ka KHayal achchha hai
koTharī Thiik na koThī kā ḳhayāl achchhā hai
yaar jis haal meñ rakkhe vahī haal achchhā hai
march meñ aqd huā aur sitambar meñ talāq
koī batlā.e burā hai ki ye saal achchhā hai
nā-tavāñ qais hai ab kaun use samjhā.e
aise hālāt meñ lailā kā visāl achchhā hai
be-hijābī nahīñ māshūq kī fitrat ai dost
badr se maiñ to samajhtā huuñ hilāl achchhā hai
raat laḌne lage 'ustād' se tūfān-e-suḳhan
log kahne lage munshī kā ḳhayāl achchhā hai
koThari Thik na koThi ka KHayal achchha hai
yar jis haal mein rakkhe wahi haal achchha hai
march mein aqd hua aur sitambar mein talaq
koi batlae bura hai ki ye sal achchha hai
na-tawan qais hai ab kaun use samjhae
aise haalat mein laila ka visal achchha hai
be-hijabi nahin mashuq ki fitrat ai dost
badr se main to samajhta hun hilal achchha hai
raat laDne lage 'ustad' se tufan-e-suKHan
log kahne lage munshi ka KHayal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.