Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh aarzu ke KHwab dikhane lagi hawa

Aslam Noor Aslam

kuchh aarzu ke KHwab dikhane lagi hawa

Aslam Noor Aslam

MORE BYAslam Noor Aslam

    kuchh aarzū ke ḳhvāb dikhāne lagī havā

    paanī ke zindagī ko satāne lagī havā

    ham bhī hue shikār haiñ iz.hār-e-ishq ke

    jab gesuoñ ke ḳham ko dikhāne lagī havā

    bād-e-sabā tumhārī mahak le ke aa ga.ī

    rūThe hue diloñ ko manāne lagī havā

    lailā-o-qais ham ko kahne lage haiñ log

    rusvā.iyoñ ko naam batāne lagī havā

    dil muñDer ye diyā kaise bujh gayā

    pūchhā to apnā pahlū bajāne lagī havā

    tum jo nahīñ ho paas to kaise badal ga.ī

    shabnam meñ bhīgī raat jalāne lagī havā

    'aslam' koī jo shab kabhī zālim ban ga.ī

    siine se lag ke mujh ko sulāne lagī havā

    kuchh aarzu ke KHwab dikhane lagi hawa

    pani ke zindagi ko satane lagi hawa

    hum bhi hue shikar hain izhaar-e-ishq ke

    jab gesuon ke KHam ko dikhane lagi hawa

    baad-e-saba tumhaari mahak le ke aa gai

    ruThe hue dilon ko manane lagi hawa

    laila-o-qais hum ko kahne lage hain log

    ruswaiyon ko nam batane lagi hawa

    dil ki munDer ka ye diya kaise bujh gaya

    puchha to apna pahlu bajaane lagi hawa

    tum jo nahin ho pas to kaise badal gai

    shabnam mein bhigi raat jalane lagi hawa

    'aslam' koi jo shab kabhi zalim si ban gai

    sine se lag ke mujh ko sulane lagi hawa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now