kuchh aisa be-sar-o-pa zist ka nizam raha
kuchh aisā be-sar-o-pā ziist kā nizām rahā
ki jo usuul banāyā vo nā-tamām rahā
harīm-e-nāz meñ kuchh aisā ehtimām rahā
uThe hijāb magar shauq tishna-kām rahā
vo kam-nasīb sikandar huuñ maiñ ḳhudā kī panāh
pahuñch ke chashma-e-haivāñ pe tishna-kām rahā
chhupā.e ārzū-e-dil gayā tire dar tak
tavāf-e-ka.aba-e-maqsūd be-marām rahā
agar ho izn-e-taġhāful to aap ġhaur kareñ
na jaane kyoñ mujhe aaj intizār-e-shām rahā
huzūr-e-ishq sazā-vār-e-sad-malāmat hai
vo nā-murād jo ulfat meñ shād-kām rahā
mirī sarisht hī kuchh ḳhūgar-e-asīrī thī
milī qafas se rihā.ī asīr-e-dām rahā
'rashīd' ġhairat-e-rindī hai māna-e-tauba
tamām umr to jām-o-subū se kaam rahā
kuchh aisa be-sar-o-pa zist ka nizam raha
ki jo usul banaya wo na-tamam raha
harim-e-naz mein kuchh aisa ehtimam raha
uThe hijab magar shauq tishna-kaam raha
wo kam-nasib sikandar hun main KHuda ki panah
pahunch ke chashma-e-haiwan pe tishna-kaam raha
chhupae aarzu-e-dil gaya tere dar tak
tawaf-e-kaba-e-maqsud be-maram raha
agar ho izn-e-taghaful to aap ghaur karen
na jaane kyon mujhe aaj intizar-e-sham raha
huzur-e-ishq saza-war-e-sad-malamat hai
wo na-murad jo ulfat mein shad-kaam raha
meri sarisht hi kuchh KHugar-e-asiri thi
mili qafas se rihai asir-e-dam raha
'rashid' ghairat-e-rindi hai mana-e-tauba
tamam umr to jam-o-subu se kaam raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.