kuchh aisa eatibar uTha rasm-o-rah ka
kuchh aisā e.atibār uThā rasm-o-rāh kā
hairat meñ Daal detā hai milnā nigāh kā
ai rāste kī dhuul mujhe saath le ke chal
patthar samajh liyā hai mujh sab ne raah kā
baḌhtā gayā hai jitnā añdherā shab-e-firāq
dekhā hai ruup nikhrā huā mehr-o-māh kā
kuchh aisa eatibar uTha rasm-o-rah ka
hairat mein Dal deta hai milna nigah ka
ai raste ki dhul mujhe sath le ke chal
patthar samajh liya hai mujh sab ne rah ka
baDhta gaya hai jitna andhera shab-e-firaq
dekha hai rup nikhra hua mehr-o-mah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.