kuchh aisa khel khela zindagi ne
kuchh aisā khel khelā zindagī ne
hamesha duur se dekhā ḳhushī ne
vo mardoñ ke barābar aa rahī thī
phir us ko āzmāyā chhipkalī ne
palaT aa.egā phir sahrā se majnūñ
agar rasta diyā terī galī ne
mohalla ġhībateñ karne lagā hai
kisī kā haath kyā pakḌā kisī ne
kahāñ vo āsmāñ qadmoñ tale thā
kahāñ ab lā girāyā naukrī ne
purāne zaḳhm taaza ho rahe haiñ
ka.ī Tāñke udheḌe haiñ ḳhushī ne
jise ham ne makīn-e-dil banāyā
hamārā dil dukhāyā hai usī ne
ḳhudā-e-arsh ne dekhā zamīñ par
ye kaisā haath maarā mātamī ne
anā kī dhajjiyāñ uḌne lagī haiñ
ḳhudī ko chiir Daalā be-ḳhudī ne
ḳhudā kī qīmateñ lagtī haiñ 'mūsā'
ḳhudā ko bech khānā hai sabhī ne
kuchh aisa khel khela zindagi ne
hamesha dur se dekha KHushi ne
wo mardon ke barabar aa rahi thi
phir us ko aazmaya chhipkali ne
palaT aaega phir sahra se majnun
agar rasta diya teri gali ne
mohalla ghibaten karne laga hai
kisi ka hath kya pakDa kisi ne
kahan wo aasman qadmon tale tha
kahan ab la giraya naukri ne
purane zaKHm taza ho rahe hain
kai Tanke udheDe hain KHushi ne
jise hum ne makin-e-dil banaya
hamara dil dukhaya hai usi ne
KHuda-e-arsh ne dekha zamin par
ye kaisa hath mara matami ne
ana ki dhajjiyan uDne lagi hain
KHudi ko chir Dala be-KHudi ne
KHuda ki qimaten lagti hain 'musa'
KHuda ko bech khana hai sabhi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.