kuchh aisa rabt musalsal raha shuur se bhi
kuchh aisā rabt musalsal rahā shu.ūr se bhī
ki ḳhauf aane lagā ishq ke vafūr se bhī
vo shash-jahāt se yaksāñ dikhā.ī detā hai
use qarīb se dekhā hai aur duur se bhī
hamārā ishq haqīqat meñ ġhār-e-saur-o-hirā
agarche ḳhaas aqīdat hameñ hai tuur se bhī
sunā hai ḳhaas ta.alluq hai ḳhārjiyat kā
hamārī zaat ke kuchh dāḳhlī umuur se bhī
tabhī to zehn pe haavī hai ishq-e-sahrā.ī
azal se dil ke marāsim rahe khajūr se bhī
ye aur baat hai maano ki iḳhtilāf karo
nishāniyāñ to hazāroñ milīñ zabūr se bhī
lahū meñ raqs-kunāñ ishq hai mire 'faisal'
juḌā huā hai koī silsila qusūr se bhī
kuchh aisa rabt musalsal raha shuur se bhi
ki KHauf aane laga ishq ke wafur se bhi
wo shash-jahat se yaksan dikhai deta hai
use qarib se dekha hai aur dur se bhi
hamara ishq haqiqat mein ghaar-e-saur-o-hira
agarche KHas aqidat hamein hai tur se bhi
suna hai KHas talluq hai KHarjiyat ka
hamari zat ke kuchh daKHli umur se bhi
tabhi to zehn pe hawi hai ishq-e-sahrai
azal se dil ke marasim rahe khajur se bhi
ye aur baat hai mano ki iKHtilaf karo
nishaniyan to hazaron milin zabur se bhi
lahu mein raqs-kunan ishq hai mere 'faisal'
juDa hua hai koi silsila qusur se bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.