kuchh aise chashm-e-tamanna ko aazmaya gaya
kuchh aise chashm-e-tamannā ko āzmāyā gayā
kisī bhī aks ko puurā nahīñ dikhāyā gayā
darūn-e-ḳhvāb dikhā kar koī hasīñ paikar
hamāre hoñToñ kā masraf hameñ sujhāyā gayā
adhūrā chhoḌ diyā ishq is liye ham ne
hameñ ye kaam mukammal nahīñ sikhāyā gayā
phir is ke baad uTheñge faqat sar-e-mahshar
gar aaj bazm se un kī hameñ uThāyā gayā gayā
matā.a-e-millat-e-ġhaflat-shi.ār luuTī ga.ī
phir is ke baad use niiñd se jagāyā gayā
kabhī ḳhudā kabhī duniyā kabhī mohabbat kā
hamāre dil meñ sadā ḳhauf hī biThāyā gayā
ajab mo.āmla rakkhā zamāne vāloñ ne
jahāñ qayām thā lāzim vahīñ girāyā gayā
daraḳht aaj bhī ham ko duā.eñ dete haiñ
ki jin se naam tumhārā nahīñ miTāyā gayā
vo aaj aa.egī chhat par saheliyoñ ke saath
'qamar' sitāroñ ko laarā ajab lagāyā gayā
kuchh aise chashm-e-tamanna ko aazmaya gaya
kisi bhi aks ko pura nahin dikhaya gaya
darun-e-KHwab dikha kar koi hasin paikar
hamare honTon ka masraf hamein sujhaya gaya
adhura chhoD diya ishq is liye hum ne
hamein ye kaam mukammal nahin sikhaya gaya
phir is ke baad uThenge faqat sar-e-mahshar
gar aaj bazm se un ki hamein uThaya gaya gaya
mataa-e-millat-e-ghaflat-shiar luTi gai
phir is ke baad use nind se jagaya gaya
kabhi KHuda kabhi duniya kabhi mohabbat ka
hamare dil mein sada KHauf hi biThaya gaya
ajab moamla rakkha zamane walon ne
jahan qayam tha lazim wahin giraya gaya
daraKHt aaj bhi hum ko duaen dete hain
ki jin se nam tumhaara nahin miTaya gaya
wo aaj aaegi chhat par saheliyon ke sath
'qamar' sitaron ko lara ajab lagaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.