kuchh aise jazba-e-tahqir se zamana mila
kuchh aise jazba-e-tahqīr se zamāna milā
ki us se apnā ye ḳhuddār dil zarā na milā
bichhaḌ ke rah ga.e ḳhud se jo gum hue us meñ
hazār DhūñDā magar apnā kuchh patā na milā
vo shor kārgah-e-zindagī meñ thā barpā
koī javāb mujhe apnī baat kā na milā
balā kī tez-ḳhirāmī thī har musāfir meñ
adam kī raah meñ koī shikasta-pā na milā
jo log zaat ke jangal meñ rah ga.e ghir kar
unheñ phir us se nikalne kā rāsta na milā
vo baat baat kā TuuTā huā tasalsul thā
ki silsile se yahāñ koī silsila na milā
sharīk-e-hāl rahī mustaqil atā us kī
'zafar' talab se mirī kab mujhe sivā na milā
kuchh aise jazba-e-tahqir se zamana mila
ki us se apna ye KHuddar dil zara na mila
bichhaD ke rah gae KHud se jo gum hue us mein
hazar DhunDa magar apna kuchh pata na mila
wo shor kargah-e-zindagi mein tha barpa
koi jawab mujhe apni baat ka na mila
bala ki tez-KHirami thi har musafir mein
adam ki rah mein koi shikasta-pa na mila
jo log zat ke jangal mein rah gae ghir kar
unhen phir us se nikalne ka rasta na mila
wo baat baat ka TuTa hua tasalsul tha
ki silsile se yahan koi silsila na mila
sharik-e-haal rahi mustaqil ata us ki
'zafar' talab se meri kab mujhe siwa na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.