kuchh aise log bhi duniya mein pae jate hain
kuchh aise log bhī duniyā meñ paa.e jaate haiñ
jahāñ bhī jaa.eñ diye hī jalā.e jaate haiñ
ye āzmā.isheñ yuuñ hī atā nahīñ hotīñ
jo log ḳhaas hoñ vo āzmā.e jaate haiñ
hameñ husain se paiġhambaroñ se nisbat hai
hamāre is liye bhī dil dukhā.e jaate haiñ
vo shaḳhs sūrat-e-ḳhurshīd jab nikaltā hai
to rang-o-nūr meñ ham bhī nahā.e jaate haiñ
use bhī pyaar hai un se jo dil-shikasta hoñ
so us kī bazm meñ ham bhī bulā.e jaate haiñ
maiñ apne dil se pareshān huuñ kidhar jā.ūñ
jo bevafā the use yaad aa.e jaate haiñ
to kul milā ke mujhe baat ye samajh aa.ī
jo nek log hoñ aksar satā.e jaate haiñ
duā salām na hadd-e-adab na ijz-o-ḳhulūs
ye mere shahr meñ ab kaun aa.e jaate haiñ
ajiib log haiñ shā.ir bhī ye ḳhudā jaane
koī sune na sune ye sunā.e jaate haiñ
mirā yaqīn hai ye ḳhāmushī ye gahrā sukūt
ye log ḳhud nahīñ aate ye laa.e jaate haiñ
kuchh aise log bhi duniya mein pae jate hain
jahan bhi jaen diye hi jalae jate hain
ye aazmaishen yun hi ata nahin hotin
jo log KHas hon wo aazmae jate hain
hamein husain se paighambaron se nisbat hai
hamare is liye bhi dil dukhae jate hain
wo shaKHs surat-e-KHurshid jab nikalta hai
to rang-o-nur mein hum bhi nahae jate hain
use bhi pyar hai un se jo dil-shikasta hon
so us ki bazm mein hum bhi bulae jate hain
main apne dil se pareshan hun kidhar jaun
jo bewafa the use yaad aae jate hain
to kul mila ke mujhe baat ye samajh aai
jo nek log hon aksar satae jate hain
dua salam na hadd-e-adab na ijz-o-KHulus
ye mere shahr mein ab kaun aae jate hain
ajib log hain shair bhi ye KHuda jaane
koi sune na sune ye sunae jate hain
mera yaqin hai ye KHamushi ye gahra sukut
ye log KHud nahin aate ye lae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.