Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh aise mahfil mein apni jaanib sabhi ka wo dhyan khinchta hai

Jaani Lakhnavi

kuchh aise mahfil mein apni jaanib sabhi ka wo dhyan khinchta hai

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    kuchh aise mahfil meñ apnī jānib sabhī vo dhyān khīñchtā hai

    binā ijāzat ke jaise jismoñ se ik malak jaan khīñchtā hai

    vo aur hoñge haiñ jin āñkhoñ meñ ḳhvāb āzād āsmāñ ke

    ham apnī zanjīr ḳhud banāte haiñ ham ko zindān khīñchtā hai

    vajūd apnā ḳhayāl hai to adam hai apnī ḳhayālī manzil

    dalīl hone jab nahīñ hai to kaisā imkān khīñchtā hai

    hamārī marzī raah hai ye hameñ ḳhabar hai ki is safar meñ

    kisī ko dār-o-rasan pe shikva kisī ko irfān khīñchtā hai

    hasīn manzar hamesha hadd-e-nazar se bāhar rahe haiñ mere

    maiñ rā.egānī ko rahā huuñ mujhe bayābān khīñchtā hai

    ik-ādh kāfir bhī mujh ko 'jānī' mile haiñ sehn-e-haram meñ aa kar

    ik-ādh aise mile jinheñ but-kade meñ īmān khīñchtā hai

    kuchh aise mahfil mein apni jaanib sabhi ka wo dhyan khinchta hai

    bina ijazat ke jaise jismon se ek malak jaan khinchta hai

    wo aur honge hain jin ki aankhon mein KHwab aazad aasman ke

    hum apni zanjir KHud banate hain hum ko zindan khinchta hai

    wajud apna KHayal hai to adam hai apni KHayali manzil

    dalil hone ki jab nahin hai to kaisa imkan khinchta hai

    hamari marzi ki rah hai ye hamein KHabar hai ki is safar mein

    kisi ko dar-o-rasan pe shikwa kisi ko irfan khinchta hai

    hasin manzar hamesha hadd-e-nazar se bahar rahe hain mere

    main raegani ko ji raha hun mujhe bayaban khinchta hai

    ik-adh kafir bhi mujh ko 'jaani' mile hain sehn-e-haram mein aa kar

    ik-adh aise mile jinhen but-kade mein iman khinchta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now