kuchh aise masale sar par khaDe hain
kuchh aise mas.ale sar par khaḌe haiñ
bahādur log bhī Dar kar khaḌe haiñ
vo jin ko dekh kar dil baiThtā hai
in āñkhoñ meñ vahī manzar khaḌe haiñ
unheñ baisākhiyāñ dī jā rahī haiñ
jo bachche apne pairoñ par khaḌe haiñ
makāñ mālik ne chābī chhīn lī aur
ham apne jism ke bāhar khaḌe haiñ
jinheñ ham aa.ina samjhe the 'dānish'
vo le kar haath meñ patthar khaḌe haiñ
kuchh aise masale sar par khaDe hain
bahadur log bhi Dar kar khaDe hain
wo jin ko dekh kar dil baiThta hai
in aankhon mein wahi manzar khaDe hain
unhen baisakhiyan di ja rahi hain
jo bachche apne pairon par khaDe hain
makan malik ne chabi chhin li aur
hum apne jism ke bahar khaDe hain
jinhen hum aaina samjhe the 'danish'
wo le kar hath mein patthar khaDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.