kuchh aise raat udasi ke par nikalte hain
kuchh aise raat udāsī ke par nikalte haiñ
ki jaise TūTtī qabroñ se sar nikalte haiñ
kabhī bhī aao in āñkhoñ meñ koī ḳhatra nahīñ
nikalne vaale yahāñ raat bhar nikalte haiñ
pare hai soch se in be-gharoñ kī dar-badarī
inheñ khañgālo to andar se ghar nikalte haiñ
tamām rāste karte nahīñ haiñ ghar kā zikr
ye log aisā bhī kyā soch kar nikalte haiñ
daraḳht karte nahīñ is liye umīd-e-vafā
vo jānte haiñ parindoñ ke par nikalte haiñ
kuchh aise raat udasi ke par nikalte hain
ki jaise TuTti qabron se sar nikalte hain
kabhi bhi aao in aankhon mein koi KHatra nahin
nikalne wale yahan raat bhar nikalte hain
pare hai soch se in be-gharon ki dar-badari
inhen khangalo to andar se ghar nikalte hain
tamam raste karte nahin hain ghar ka zikr
ye log aisa bhi kya soch kar nikalte hain
daraKHt karte nahin is liye umid-e-wafa
wo jaante hain parindon ke par nikalte hain
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 18)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.