kuchh aise shab-e-hijr mein dil mera jala hai
kuchh aise shab-e-hijr meñ dil merā jalā hai
roī hai shama haath patange ne malā hai
kaaTe na kaTegī mujhe lagtā hai kuchh aisā
furqat kī ye shab hai yā burī koī balā hai
dukh-dard vo muflis ke bhalā dekhegā kaise
daulat kī chakā-chauñd meñ daa.im jo palā hai
har koī kavī chaah ke bhī bantā nahīñ hai
fitrat hī meñ bastī hai jo ye kāvya-kalā hai
kyoñ chhoḌ ke nij desh vatan jaa.e parā.e
'nāsir' ko vatan apnā to jannat se bhalā hai
kuchh aise shab-e-hijr mein dil mera jala hai
roi hai shama hath patange ne mala hai
kaTe na kaTegi mujhe lagta hai kuchh aisa
furqat ki ye shab hai ya buri koi bala hai
dukh-dard wo muflis ke bhala dekhega kaise
daulat ki chaka-chaund mein daim jo pala hai
har koi kawi chah ke bhi banta nahin hai
fitrat hi mein basti hai jo ye kawya-kala hai
kyon chhoD ke nij desh watan jae parae
'nasir' ko watan apna to jannat se bhala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.