kuchh aise wasl ki raaten guzari hai maine
kuchh aise vasl kī rāteñ guzārī hai maiñ ne
tamām shab terī sūrat nihārī hai maiñ ne
abhī se saarā samundar uchhāl mārtā hai
abhī to dariyā meñ kashtī utārī hai maiñ ne
ye saare raste mujhe khīñchne lage hai ab
kuchh itnā chīḳh ke manzil pukārī hai maiñ ne
tamām-umr tirī justujū rahī mujh ko
tamām-umr safar meñ guzārī hai maiñ ne
kuchh aise wasl ki raaten guzari hai main ne
tamam shab teri surat nihaari hai main ne
abhi se sara samundar uchhaal marta hai
abhi to dariya mein kashti utari hai main ne
ye sare raste mujhe khinchne lage hai ab
kuchh itna chiKH ke manzil pukari hai main ne
tamam-umr teri justuju rahi mujh ko
tamam-umr safar mein guzari hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.