kuchh ajab haal hai mere ji ka
kuchh ajab haal hai mire jī kā
us ke māthe pe dekh kar Tiikā
bazm meñ is tarah vo dar aa.e
sham.a kā rang paḌ gayā phīkā
zindagī tujh se chhūT kar pyāre
ek janjāl hai mire jī kā
ai papīhe tujhe ḳhudā kī qasam
naam barsāt meñ na le pī kā
kisī sūrat na kāmgār huā
baḳht ko apne umr-bhar jhīkā
mehrbāñ tum jo the to gardish-e-charḳh
baal merā na kar sakī biikā
ahl-e-ishrat idhar na aa.eñ 'jalīl'
ishq hai sar-basar ziyāñ jī kā
kuchh ajab haal hai mere ji ka
us ke mathe pe dekh kar Tika
bazm mein is tarah wo dar aae
shama ka rang paD gaya phika
zindagi tujh se chhuT kar pyare
ek janjal hai mere ji ka
ai papihe tujhe KHuda ki qasam
nam barsat mein na le pi ka
kisi surat na kaamgar hua
baKHt ko apne umr-bhar jhika
mehrban tum jo the to gardish-e-charKH
baal mera na kar saki bika
ahl-e-ishrat idhar na aaen 'jalil'
ishq hai sar-basar ziyan ji ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.