kuchh ajab sa hun sitamgar main bhi
kuchh ajab sā huuñ sitamgar maiñ bhī
us pe khultā huuñ badan bhar maiñ bhī
na.ī tartīb se vo bhī ḳhush hai
ḳhūb-sūrat huuñ bikhar kar maiñ bhī
aa mire saath mire shahr meñ aa
jis se bhaag aatā huuñ aksar maiñ bhī
ab ye pā-posh-e-anā kāTtī hai
lo huā apne barābar maiñ bhī
jhilmilā le abhī ujlat kyā hai
aur kuchh der huuñ chhat par maiñ bhī
kuchh ajab sa hun sitamgar main bhi
us pe khulta hun badan bhar main bhi
nai tartib se wo bhi KHush hai
KHub-surat hun bikhar kar main bhi
aa mere sath mere shahr mein aa
jis se bhag aata hun aksar main bhi
ab ye pa-posh-e-ana kaTti hai
lo hua apne barabar main bhi
jhilmila le abhi ujlat kya hai
aur kuchh der hun chhat par main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.