kuchh ajab shai hai sitamgar se shanasai bhi
kuchh ajab shai hai sitamgar se shanāsā.ī bhī
shikva-e-jor bhī hai jabr-e-pazīrā.ī bhī
ḳhūñ-fishāñ mohar-ba-lab chāk-jigar hai har gul
kuchh ajab rang se aa.ī jo bahār aa.ī bhī
muzhda-e-sub.h-e-bahārāñ ho mubārak tum ko
kaash tum hote sharīk-e-shab-e-tanhā.ī bhī
hai tamāsha-gah-e-fitrat kā ye turfa andāz
ḳhud tamāsha nazar aatā hai tamāshā.ī bhī
vā na ho jaa.eñ kahīñ shiddat-e-ehsās se lab
chhīn lo mujh se mirī quvvat-e-goyā.ī bhī
kuchh ajab shai hai sitamgar se shanasai bhi
shikwa-e-jor bhi hai jabr-e-pazirai bhi
KHun-fishan mohar-ba-lab chaak-jigar hai har gul
kuchh ajab rang se aai jo bahaar aai bhi
muzhda-e-subh-e-bahaaran ho mubarak tum ko
kash tum hote sharik-e-shab-e-tanhai bhi
hai tamasha-gah-e-fitrat ka ye turfa andaz
KHud tamasha nazar aata hai tamashai bhi
wa na ho jaen kahin shiddat-e-ehsas se lab
chhin lo mujh se meri quwwat-e-goyai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.