kuchh ajnabi se log the kuchh ajnabi se hum
kuchh ajnabī se log the kuchh ajnabī se ham
duniyā meñ ho na paa.e shanāsā kisī se ham
dete nahīñ sujhā.ī jo duniyā ke ḳhatt-o-ḳhāl
aa.e haiñ tīrgī meñ magar raushnī se ham
yaañ to har ik qadam pe ḳhalal hai havās kā
ai ḳhizr baaz aa.e tirī hamrahī se ham
dete haiñ log aaj use shā.erī kā naam
paḌhte the lauh dil pe kuchh āshuftagī se ham
rahtī hai 'anjum' ek zamāne se guftugū
karte nahīñ kalām ba-zāhir kisī se ham
kuchh ajnabi se log the kuchh ajnabi se hum
duniya mein ho na pae shanasa kisi se hum
dete nahin sujhai jo duniya ke KHatt-o-KHal
aae hain tirgi mein magar raushni se hum
yan to har ek qadam pe KHalal hai hawas ka
ai KHizr baz aae teri hamrahi se hum
dete hain log aaj use shaeri ka nam
paDhte the lauh dil pe kuchh aashuftagi se hum
rahti hai 'anjum' ek zamane se guftugu
karte nahin kalam ba-zahir kisi se hum
- Book : Ghazalistaan (Pg. 292)
- Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri
- Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.