kuchh aql bhi rakhta hai junun-zad hamara
kuchh aql bhī rakhtā hai junūñ-zād hamārā
ab ishq meñ pāgal nahīñ farhād hamārā
ḳhemoñ se ubharne lagīñ mātam kī sadā.eñ
aur ham se ḳhafā ho gayā sajjād hamārā
ik phuul ke khilne se bahut pahle jahāñ meñ
ik ḳhvāb huā jaatā hai barbād hamārā
ik soch ki mahdūd hī rahtī hai rahegī
ik dil kā parinda hai ki āzād hamārā
ye bazm-e-suḳhan sāz-e-suḳhan hī kī tag-o-tāz
suntā hai yahāñ har koī irshād hamārā
ye talḳhī-e-qismat hai ki sāñsoñ kī atā hai
aahoñ se bhare dāman-e-fariyād hamārā
ham qāfiya-paimā nahīñ shā.ir hue 'hassān'
aur mīr-taqī-'mīr' hai ustād hamārā
kuchh aql bhi rakhta hai junun-zad hamara
ab ishq mein pagal nahin farhad hamara
KHemon se ubharne lagin matam ki sadaen
aur hum se KHafa ho gaya sajjad hamara
ek phul ke khilne se bahut pahle jahan mein
ek KHwab hua jata hai barbaad hamara
ek soch ki mahdud hi rahti hai rahegi
ek dil ka parinda hai ki aazad hamara
ye bazm-e-suKHan saz-e-suKHan hi ki tag-o-taz
sunta hai yahan har koi irshad hamara
ye talKHi-e-qismat hai ki sanson ki ata hai
aahon se bhare daman-e-fariyaad hamara
hum qafiya-paima nahin shair hue 'hassan'
aur mir-taqi-'mir' hai ustad hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.