kuchh aur faza nikhre dil aur mahak jae
kuchh aur fazā nikhre dil aur mahak jaa.e
shāne se tirā āñchal ab aur Dhalak jaa.e
be-dīd ho tum behad ab ziist bahak jaa.e
taḳh.īl bhī so jaa.e ehsās bhī thak jaa.e
fitrat bhī tarastī hai ab terī navāzish ko
phir raat mahak jaa.e phir sub.h damak jaa.e
jis ne tujhe paayā thā jis ne tujhe khoyā hai
ab kis kī ināyat se is dil kī kasak jaa.e
ik dil ke sulagne ko ham ishq nahīñ kahte
us samt bhī siine meñ kuchh aag bhaḌak jaa.e
is kūcha-e-rangīñ ke e.ajāz ko kyā kahiye
ik umr bhaTak jaa.e īmān bahak jaa.e
aao ġham-e-duniyā ko andāz-e-tarab de deñ
bhīge hue mausam meñ botal hī khanak jaa.e
īmān-e-mohabbat bhī ik kufr-e-mohabbat hai
har lahza gumāñ guzre har baat pe shak jaa.e
is hijr kī shiddat se ḳhud ishq laraztā hai
dikhte hue shāne par jab zulf Dhalak jaa.e
us jism kā afsāna ham bhī to suneñ 'saifī'
kyoñ tazkira-e-rangīñ aġhyār hī tak jaa.e
kuchh aur faza nikhre dil aur mahak jae
shane se tera aanchal ab aur Dhalak jae
be-did ho tum behad ab zist bahak jae
taKHil bhi so jae ehsas bhi thak jae
fitrat bhi tarasti hai ab teri nawazish ko
phir raat mahak jae phir subh damak jae
jis ne tujhe paya tha jis ne tujhe khoya hai
ab kis ki inayat se is dil ki kasak jae
ek dil ke sulagne ko hum ishq nahin kahte
us samt bhi sine mein kuchh aag bhaDak jae
is kucha-e-rangin ke eajaz ko kya kahiye
ek umr bhaTak jae iman bahak jae
aao gham-e-duniya ko andaz-e-tarab de den
bhige hue mausam mein botal hi khanak jae
iman-e-mohabbat bhi ek kufr-e-mohabbat hai
har lahza guman guzre har baat pe shak jae
is hijr ki shiddat se KHud ishq larazta hai
dikhte hue shane par jab zulf Dhalak jae
us jism ka afsana hum bhi to sunen 'saifi'
kyon tazkira-e-rangin aghyar hi tak jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.