kuchh aur hai mujhko gham-e-dauran to nahin hai
kuchh aur hai mujh ko ġham-e-daurāñ to nahīñ hai
muztar hai dil-e-shauq pareshāñ to nahīñ hai
luTne kī tamanna hai mire gauhar-e-dil meñ
muflis to nahīñ be-sar-o-sāmāñ to nahīñ hai
kal hogī qayāmat vo yaqīñ bhī nahīñ kartā
zālim koī kāfir hai musalmāñ to nahīñ hai
kyā hai jo khaTaktā hai barābar mire dil meñ
mujh par nigah-e-nāz kā ehsāñ to nahīñ hai
uThtā hai jo sho.ala sā mire qalb-o-jigar meñ
barq-e-sharaf-e-tūr farozāñ to nahīñ hai
'rāzī' ko ijāzat nahīñ kyoñ bazm-e-tarab meñ
ye aap kī mahfil hai shabistāñ to nahīñ hai
kuchh aur hai mujh ko gham-e-dauran to nahin hai
muztar hai dil-e-shauq pareshan to nahin hai
luTne ki tamanna hai mere gauhar-e-dil mein
muflis to nahin be-sar-o-saman to nahin hai
kal hogi qayamat wo yaqin bhi nahin karta
zalim koi kafir hai musalman to nahin hai
kya hai jo khaTakta hai barabar mere dil mein
mujh par nigah-e-naz ka ehsan to nahin hai
uThta hai jo shoala sa mere qalb-o-jigar mein
barq-e-sharaf-e-tur farozan to nahin hai
'raazi' ko ijazat nahin kyon bazm-e-tarab mein
ye aap ki mahfil hai shabistan to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.