kuchh aur hi nasha hai shab-e-nim-mah mein
kuchh aur hī nasha hai shab-e-nīm-māh meñ
kyā rang khil rahe haiñ kisī kī nigāh meñ
khulte haiñ pairahan kī tarah sab rumūz-e-vasl
maiñ mai piye jo aaya kisī kī panāh meñ
ye iftiḳhār har kas-o-nā-kas ko kab nasīb
sau zaḳhm kī jagah hai dil-e-kaj-kulāh meñ
har shai to ḳhaak ban ke havā ho ga.ī mirī
ab ranj rah gayā hai kaf-e-ishtibāh meñ
lamha-ba-lamha 'aib-o-hunar chāhiye hameñ
is zindagī ke silsila-e-rasm-o-rāh meñ
kuchh aur hi nasha hai shab-e-nim-mah mein
kya rang khil rahe hain kisi ki nigah mein
khulte hain pairahan ki tarah sab rumuz-e-wasl
main mai piye jo aaya kisi ki panah mein
ye iftiKHar har kas-o-na-kas ko kab nasib
sau zaKHm ki jagah hai dil-e-kaj-kulah mein
har shai to KHak ban ke hawa ho gai meri
ab ranj rah gaya hai kaf-e-ishtibah mein
lamha-ba-lamha 'aib-o-hunar chahiye hamein
is zindagi ke silsila-e-rasm-o-rah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.