kuchh aur mere dard ke sholon ko hawa do
kuchh aur mire dard ke sho'loñ ko havā do
be-nūr hue daaġh añdherā hai ziyā do
pīchhe ġham-o-andoh ke fir.aun kā lashkar
aage alam-o-yās kā dariyā hai asā do
maiñ dasht-e-ġham-e-ishq meñ hañstā huā aa.uuñ
raste se ġham-e-dahr kī dīvār haTā do
maiñ aur sulagtā huā sahrā-e-tajassus
bhaTkā huā raahī huuñ koī raah dikhā do
kyuuñ merī shikastoñ ko sahārā nahīñ miltā
insān huuñ muhtāj ḳhudā kā huuñ ḳhudā do
is shahr meñ jiine kī hai ab ek hī sūrat
ehsās ke mansūr ko suulī pe chaḌhā do
is daur kā suqrāt huuñ sach bol rahā huuñ
kyā der hai kyuuñ chup ho mujhe zahr pilā do
kuchh aur mere dard ke sho'lon ko hawa do
be-nur hue dagh andhera hai ziya do
pichhe gham-o-andoh ke firaun ka lashkar
aage alam-o-yas ka dariya hai asa do
main dasht-e-gham-e-ishq mein hansta hua aaun
raste se gham-e-dahr ki diwar haTa do
main aur sulagta hua sahra-e-tajassus
bhaTka hua rahi hun koi rah dikha do
kyun meri shikaston ko sahaara nahin milta
insan hun muhtaj KHuda ka hun KHuda do
is shahr mein jine ki hai ab ek hi surat
ehsas ke mansur ko suli pe chaDha do
is daur ka suqraat hun sach bol raha hun
kya der hai kyun chup ho mujhe zahr pila do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.