kuchh aur nazar aate KHud se jo Dare hote
kuchh aur nazar aate ḳhud se jo Dare hote
saa.e meñ kahīñ hote kuchh zaḳhm bhare hote
duniyā kā jo bas chaltā rakh detī kuchal kar hī
phir ye bhī haqīqat hai ham kitnā pare hote
lagtīñ na kisī ko bhī bāteñ ye burī apnī
do-chār jo ham aise kuchh aur khare hote
andar se sabhī shāyad āvāz ke ghāyal haiñ
āvāz na dete to kyuuñ zaḳhm hare hote
ho koī bhī ham sab kā muñh band na kar dete
ilzām agar sar pe ḳhud hī na dhare hote
kuchh dekh ke jī apnā hotā jo zarā bhī ḳhush
phir haath in āñkhoñ pe aise na dhare hote
kuchh jānñe kī dhun hai kyā jānñā hai lekin
mā'lūm ye hotā to ḳhud se na pare hote
ye 'talḳh' kiyā kyā hai ḳhud se bhī ga.e tum to
marnā hī kisī par thā tum ḳhud pe mare hote
kuchh aur nazar aate KHud se jo Dare hote
sae mein kahin hote kuchh zaKHm bhare hote
duniya ka jo bas chalta rakh deti kuchal kar hi
phir ye bhi haqiqat hai hum kitna pare hote
lagtin na kisi ko bhi baaten ye buri apni
do-chaar jo hum aise kuchh aur khare hote
andar se sabhi shayad aawaz ke ghayal hain
aawaz na dete to kyun zaKHm hare hote
ho koi bhi hum sab ka munh band na kar dete
ilzam agar sar pe KHud hi na dhare hote
kuchh dekh ke ji apna hota jo zara bhi KHush
phir hath in aankhon pe aise na dhare hote
kuchh jaanne ki dhun hai kya jaanna hai lekin
ma'lum ye hota to KHud se na pare hote
ye 'talKH' kiya kya hai KHud se bhi gae tum to
marna hi kisi par tha tum KHud pe mare hote
- Book : Waseela (Pg. 134)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.