kuchh aur pila nashat ki mai
kuchh aur pilā nashāt kī mai
ye lazzat-e-jism hai ajab shai
ab bhī vahī giit hai vahī lai
ham vo nahīñ anjuman vahī hai
taḳhayyul meñ har talab hai tahsīl
jo baat kahīñ nahīñ yahāñ hai
karte tirā intizār abad tak
lekin tirā e'tibār tā-kai
mujh ko to na raas aa.ī duurī
tujh meñ bhī vo baat ab nahīñ hai
dīvāngiyāñ kabhī miTī haiñ
har-chand rahā zamāna darpai
samjhā.eñ 'ziyā' magar unheñ kyā
dil hī se na baat ho sakī tai
kuchh aur pila nashat ki mai
ye lazzat-e-jism hai ajab shai
ab bhi wahi git hai wahi lai
hum wo nahin anjuman wahi hai
taKHayyul mein har talab hai tahsil
jo baat kahin nahin yahan hai
karte tera intizar abad tak
lekin tera e'tibar ta-kai
mujh ko to na ras aai duri
tujh mein bhi wo baat ab nahin hai
diwangiyan kabhi miTi hain
har-chand raha zamana darpai
samjhaen 'ziya' magar unhen kya
dil hi se na baat ho saki tai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.