kuchh aur tere mujhse sawalat hon to bol
kuchh aur tere mujh se savālāt hoñ to bol
ye zindagī tavīl hai ḳhadshāt hoñ to bol
cigarette ham ne chhoḌ dī aur dekh ḳhush bhī haiñ
tere sabab ye saare karāmāt hoñ to bol
jaadū to chāñd aur sitāroñ ke dam se hai
ai raat tujh se koī tilismāt hoñ to bol
detā hai kyoñ dilāsa yūñhī baat baat par
gar tere iḳhtiyār meñ hālāt hoñ to bol
varna to mujh se koī tū ummīd mat hī rakh
kuchh mujh pe terī ḳhaas ināyāt hoñ to bol
tū jin ke pīchhe chal ke yahāñ dar-ba-dar huā
gar mere paañv ke vo nishānāt hoñ to bol
kuchh to huā hī hogā jo ham bolte rahe
mujh se agar tujhe bhī shikāyāt hoñ to bol
'irfān' saarī duniyā agarche ḳhilāf hai
us ke mire ḳhilāf bayānāt hoñ to bol
kuchh aur tere mujh se sawalat hon to bol
ye zindagi tawil hai KHadshat hon to bol
cigarette hum ne chhoD di aur dekh KHush bhi hain
tere sabab ye sare karamat hon to bol
jadu to chand aur sitaron ke dam se hai
ai raat tujh se koi tilismat hon to bol
deta hai kyon dilasa yunhi baat baat par
gar tere iKHtiyar mein haalat hon to bol
warna to mujh se koi tu ummid mat hi rakh
kuchh mujh pe teri KHas inayat hon to bol
tu jin ke pichhe chal ke yahan dar-ba-dar hua
gar mere panw ke wo nishanat hon to bol
kuchh to hua hi hoga jo hum bolte rahe
mujh se agar tujhe bhi shikayat hon to bol
'irfan' sari duniya agarche KHilaf hai
us ke mere KHilaf bayanat hon to bol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.