kuchh baat hai mila jo wafadar ki tarah
kuchh baat hai milā jo vafādār kī tarah
ik bā-usūl-o-sāhab-e-kirdār kī tarah
aa.ī bahār bhī to adākār kī tarah
hai surḳh phuul dīda-e-ḳhūñbār kī tarah
bedār har taraf haiñ tashaddud kī āñdhiyāñ
iḳhlās mahv-e-ḳhvāb hai bīmār kī tarah
gir gir ke bijliyāñ bhī pareshān ho ga.iiñ
maskan khaḌā hai aaj bhī kohsār kī tarah
dariyā ke do kināroñ kā mumkin na thā visāl
maujeñ khaḌī thiiñ raah meñ dīvār kī tarah
terā karam bhī ek sitam hai mire liye
laTkā hai sar pe mere vo talvār kī tarah
'āqil' miyāñ ye ahl-e-siyāsat kā daur hai
milte haiñ ab to yaar bhī aġhyār kī tarah
kuchh baat hai mila jo wafadar ki tarah
ek ba-usul-o-sahab-e-kirdar ki tarah
aai bahaar bhi to adakar ki tarah
hai surKH phul dida-e-KHunbar ki tarah
bedar har taraf hain tashaddud ki aandhiyan
iKHlas mahw-e-KHwab hai bimar ki tarah
gir gir ke bijliyan bhi pareshan ho gain
maskan khaDa hai aaj bhi kohsar ki tarah
dariya ke do kinaron ka mumkin na tha visal
maujen khaDi thin rah mein diwar ki tarah
tera karam bhi ek sitam hai mere liye
laTka hai sar pe mere wo talwar ki tarah
'aqil' miyan ye ahl-e-siyasat ka daur hai
milte hain ab to yar bhi aghyar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.