kuchh baat rah gai thi batane ke bawajud
kuchh baat rah ga.ī thī batāne ke bāvajūd
huuñ hālat-e-safar meñ ghar aane ke bāvajūd
dil se utar chukā thā jo aa kar gale milā
duurī vahī thī dil se lagāne ke bāvajūd
hāthoñ meñ ab bhī us kī hai ḳhushbū basī huī
jo rah ga.ī thī haath chhuḌāne ke bāvajūd
purze vo ḳhat ke aaj bhī rakkhe haiñ mere paas
jo bach ga.e the ḳhat ko jalāne ke bāvajūd
naam us kā mere dil pe chhapā is tarah se hai
yuuñ naqsh hai abhī bhī miTāne ke bāvajūd
mujh ko bhī ye kamāl-e-hunar hai milā huā
maiñ jī rahī huuñ us ko bhulāne ke bāvajūd
koī bhī ham-shanās nahīñ ham-navā nahīñ
rishtoñ meñ ik ḳhalā hai nibhāne ke bāvajūd
terī sadā.eñ aa.iiñ jo maazī kī samt se
ham ruk ga.e haiñ paañv baḌhāne ke bāvajūd
jo zid meñ baḌh ga.e the zamīnoñ ko rauñd kar
ḳhush kyoñ nahīñ haiñ āsmāñ paane ke bāvajūd
ye kaisā intizār ki hotā nahīñ hai ḳhatm
tū aa gayā magar tire aane ke bāvajūd
kuchh baat rah gai thi batane ke bawajud
hun haalat-e-safar mein ghar aane ke bawajud
dil se utar chuka tha jo aa kar gale mila
duri wahi thi dil se lagane ke bawajud
hathon mein ab bhi us ki hai KHushbu basi hui
jo rah gai thi hath chhuDane ke bawajud
purze wo KHat ke aaj bhi rakkhe hain mere pas
jo bach gae the KHat ko jalane ke bawajud
nam us ka mere dil pe chhapa is tarah se hai
yun naqsh hai abhi bhi miTane ke bawajud
mujh ko bhi ye kamal-e-hunar hai mila hua
main ji rahi hun us ko bhulane ke bawajud
koi bhi ham-shanas nahin ham-nawa nahin
rishton mein ek KHala hai nibhane ke bawajud
teri sadaen aain jo mazi ki samt se
hum ruk gae hain panw baDhane ke bawajud
jo zid mein baDh gae the zaminon ko raund kar
KHush kyon nahin hain aasman pane ke bawajud
ye kaisa intizar ki hota nahin hai KHatm
tu aa gaya magar tere aane ke bawajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.