kuchh bacha le abhi aansu mujhe rone wale
kuchh bachā le abhī aañsū mujhe rone vaale
sānehe aur bhī haiñ rū-numā hone vaale
vaqt ke ghaaT utar kar nahīñ vāpas lauTe
daaġh malbūs-e-mah-o-mahr ke dhone vaale
daa.em ābād rahe dār-e-fanā ke baasī
fikr meñ rūh-e-baqāyāb samone vaale
thartharātī rahe ab ḳhvāh hama-vaqt zamīñ
so ga.e ḳhāk-e-abad oḌh ke sone vaale
jis pe bhī paañv dharā maiñ ne usī naav meñ
aa.e āsār nazar ḳhud ko Dubone vaale
ab liye phirtā hai kyā dāman-e-sad-chāk apnā
kyā hue ab vo tire siine pirone vaale
jā nikaltā hai achānak vahīñ rasta merā
dar pa-e-pā hoñ jahāñ ḳhaar chubhone vaale
gard hai haath meñ un ke mirī kisht-e-zar-ḳhez
ḳhār-o-ḳhas se jo 'alāva nahīñ bone vaale
ye bhī ik turfa tamāsha hai ki haiñ añdhiyāre
resha-e-shab meñ sitāroñ ko pirone vaale
kar ga.e ḳhushk bharī jhiil ta.assuf ke kañval
suukh kar kāñTā hue raat bhigone vaale
de gayā hai jo hameñ ahd-e-marāsim us kā
us ḳhazāne ko nahīñ ham nahīñ khone vaale
kuchh bacha le abhi aansu mujhe rone wale
sanehe aur bhi hain ru-numa hone wale
waqt ke ghaT utar kar nahin wapas lauTe
dagh malbus-e-mah-o-mahr ke dhone wale
daem aabaad rahe dar-e-fana ke basi
fikr mein ruh-e-baqayab samone wale
thartharaati rahe ab KHwah hama-waqt zamin
so gae KHak-e-abad oDh ke sone wale
jis pe bhi panw dhara main ne usi naw mein
aae aasar nazar KHud ko Dubone wale
ab liye phirta hai kya daman-e-sad-chaak apna
kya hue ab wo tere sine pirone wale
ja nikalta hai achanak wahin rasta mera
dar pa-e-pa hon jahan KHar chubhone wale
gard hai hath mein un ke meri kisht-e-zar-KHez
KHar-o-KHas se jo 'alawa nahin bone wale
ye bhi ek turfa tamasha hai ki hain andhiyare
resha-e-shab mein sitaron ko pirone wale
kar gae KHushk bhari jhil tassuf ke kanwal
sukh kar kanTa hue raat bhigone wale
de gaya hai jo hamein ahd-e-marasim us ka
us KHazane ko nahin hum nahin khone wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.