kuchh band makan bhi rahne den
kuchh band makāñ bhī rahne deñ
kuchh raaz nihāñ bhī rahne deñ
har samt jagā.e haiñ mahshar
kuchh amn-o-amāñ bhī rahne deñ
haiñ jalte diip qayādat ke
qadmoñ ke nishāñ bhī rahne deñ
detā hai gavāhī ibrat kī
uThtā ye dhuāñ bhī rahne deñ
hai garm lahū dīvānoñ kā
maqtal ke nishāñ bhī rahne deñ
ḳhud said jo chal kar aa.e haiñ
ab tīr-o-kamāñ bhī rahne deñ
ḳhud par hī bharosā 'rāg' rakheñ
ummīd javāñ bhī rahne deñ
kuchh band makan bhi rahne den
kuchh raaz nihan bhi rahne den
har samt jagae hain mahshar
kuchh amn-o-aman bhi rahne den
hain jalte dip qayaadat ke
qadmon ke nishan bhi rahne den
deta hai gawahi ibrat ki
uThta ye dhuan bhi rahne den
hai garm lahu diwanon ka
maqtal ke nishan bhi rahne den
KHud said jo chal kar aae hain
ab tir-o-kaman bhi rahne den
KHud par hi bharosa 'rag' rakhen
ummid jawan bhi rahne den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.