Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete

Fani Badayuni

kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    kuchh bas na thā varna ye ilzām na lete

    ham tujh se chhupā kar bhī tirā naam na lete

    nazreñ na bachānā thiiñ nazar mujh se milā kar

    paiġhām na denā thā to paiġhām na lete

    kyā umr meñ ik aah bhī baḳhshī nahīñ jaatī

    ik saañs bhī kyā aap ke nākām na lete

    ab mai meñ na vo kaif na ab jaam meñ vo baat

    ai kaash tire haath se ham jaam na lete

    qaabū ġham-e-ishq pe chaltā nahīñ varna

    ehsān-e-ġham-e-gardish-e-ayyām na lete

    ham haiñ vo balā dost ki gulshan to kyā zikr

    jannat bhī bajā.e qafas o daam na lete

    ḳhāmosh bhī rahte to shikāyat Thahartī

    dil de ke kahāñ tak koī ilzām na lete

    allāh re mire dil nazākat taqāzā

    tāsīr-e-mohabbat se bhī ham kaam na lete

    terī razā aur thī varna tire bismil

    talvār ke saa.e meñ bhī ārām na lete

    ik jabr hai ye zindagī ishq ki 'fānī'

    ham muft bhī ye aish-e-ġham-anjām na lete

    kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete

    hum tujh se chhupa kar bhi tera nam na lete

    nazren na bachana thin nazar mujh se mila kar

    paigham na dena tha to paigham na lete

    kya umr mein ek aah bhi baKHshi nahin jati

    ek sans bhi kya aap ke nakaam na lete

    ab mai mein na wo kaif na ab jam mein wo baat

    ai kash tere hath se hum jam na lete

    qabu hi gham-e-ishq pe chalta nahin warna

    ehsan-e-gham-e-gardish-e-ayyam na lete

    hum hain wo bala dost ki gulshan ka to kya zikr

    jannat bhi bajae qafas o dam na lete

    KHamosh bhi rahte to shikayat hi Thaharti

    dil de ke kahan tak koi ilzam na lete

    allah re mere dil ki nazakat ka taqaza

    tasir-e-mohabbat se bhi hum kaam na lete

    teri hi raza aur thi warna tere bismil

    talwar ke sae mein bhi aaram na lete

    ek jabr hai ye zindagi ishq ki 'fani'

    hum muft bhi ye aish-e-gham-anjam na lete

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now