kuchh bhi aaj bhi tauqir-e-wafa hai to sahi
kuchh bhī aaj bhī tauqīr-e-vafā hai to sahī
kam hai yā besh hai is baat se kyā hai to sahī
dair kī sair bhī kī sair-e-haram bhī kar lī
dekhnā kyā dar-e-mai-ḳhāna hai vā hai to sahī
lab pe rindoñ ke haiñ allāh ko sau salvāteñ
na sahī ḳhauf-e-ḳhudā zikr-e-ḳhudā hai to sahī
jis se duniyā ko na kuchh kaam na duniyā se jise
vo bhalā hai to sahī aur burā hai to sahī
soch kar kahne lagā ye maraz-e-ġham kā tabīb
kyā likhūñ is kī davā ek davā hai to sahī
koī gumrāh mirī sust-ravī par na hañse
na sahī tāqat-e-pā rāh-numā hai to sahī
imtihān-e-sho’arā bazm-e-suḳhan meñ tauba
kaisī rakkhī hai radīf aur sunā hai to sahī
fursat-e-she’r-o-suḳhan 'amn' ko kam hai lekin
she'r-goī kā abhī hausla sā hai to sahī
kuchh bhi aaj bhi tauqir-e-wafa hai to sahi
kam hai ya besh hai is baat se kya hai to sahi
dair ki sair bhi ki sair-e-haram bhi kar li
dekhna kya dar-e-mai-KHana hai wa hai to sahi
lab pe rindon ke hain allah ko sau salwaten
na sahi KHauf-e-KHuda zikr-e-KHuda hai to sahi
jis se duniya ko na kuchh kaam na duniya se jise
wo bhala hai to sahi aur bura hai to sahi
soch kar kahne laga ye maraz-e-gham ka tabib
kya likhun is ki dawa ek dawa hai to sahi
koi gumrah meri sust-rawi par na hanse
na sahi taqat-e-pa rah-numa hai to sahi
imtihan-e-sho’ara bazm-e-suKHan mein tauba
kaisi rakkhi hai radif aur suna hai to sahi
fursat-e-she’r-o-suKHan 'amn' ko kam hai lekin
she'r-goi ka abhi hausla sa hai to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.