kuchh bhi ho pesh-e-nazar jata hun main
kuchh bhī ho pesh-e-nazar jaatā huuñ maiñ
yaar hai to hukm kar jaatā huuñ meñ
mujh ko kaalī koTharī kī qaid hai
raushnī hote hī Dar jaatā huuñ maiñ
saarā din chaltā hai mujh meñ ik hujūm
shaam hote hī bikhar jaatā huuñ maiñ
ḳhush-mizājī bāñdh mere zaḳhm par
tere hote chashm-e-tar jaatā huuñ maiñ
hādisa hote hī ghaTtā hai vajūd
jāniye ab kis qadar jaatā huuñ maiñ
rang ukhḌe haiñ mirī tasvīr ke
ab kisī zangār par jaatā huuñ maiñ
surma.ī āvāz aatī hai mujhe
aur chhat par bhaag kar jaatā huuñ maiñ
raat bhar chaltī hai ab apnī tarāsh
sub.h tak malbe se bhar jaatā huuñ maiñ
roz kartā huuñ nayā kār-e-junūñ
roz ḳhālī haath ghar jaatā huuñ maiñ
āsmāñ se rizq aatā hai mujhe
bas kahīñ kashkol dhar jaatā huuñ maiñ
tujh ko ruknā hai to ruk jā chhāñv meñ
merā hai lambā safar jaatā huuñ maiñ
kaj-suḳhan logoñ kī ujlat dekhiye
sar ke uupar se guzar jaatā huuñ maiñ
maiñ ne 'rāshid' khā liyā ḳhauf-e-ḳhudā
dekhiye bachtā huuñ mar jaatā huuñ maiñ
kuchh bhi ho pesh-e-nazar jata hun main
yar hai to hukm kar jata hun mein
mujh ko kali koThari ki qaid hai
raushni hote hi Dar jata hun main
sara din chalta hai mujh mein ek hujum
sham hote hi bikhar jata hun main
KHush-mizaji bandh mere zaKHm par
tere hote chashm-e-tar jata hun main
hadisa hote hi ghaTta hai wajud
jaaniye ab kis qadar jata hun main
rang ukhDe hain meri taswir ke
ab kisi zangar par jata hun main
surmai aawaz aati hai mujhe
aur chhat par bhag kar jata hun main
raat bhar chalti hai ab apni tarash
subh tak malbe se bhar jata hun main
roz karta hun naya kar-e-junun
roz KHali hath ghar jata hun main
aasman se rizq aata hai mujhe
bas kahin kashkol dhar jata hun main
tujh ko rukna hai to ruk ja chhanw mein
mera hai lamba safar jata hun main
kaj-suKHan logon ki ujlat dekhiye
sar ke upar se guzar jata hun main
main ne 'rashid' kha liya KHauf-e-KHuda
dekhiye bachta hun mar jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.