kuchh bhi jo asasa dar-o-diwar mein hota
kuchh bhī jo asāsa dar-o-dīvār meñ hotā
galiyoñ meñ nahīñ ghar mirā bāzār meñ hotā
mātam hī alag shahr-e-azādār meñ hotā
mujh sā jo kaleja kahīñ do-chār meñ hotā
phir shaah ne bai'at hī talab kī nahīñ varna
jo ran meñ huā thā vahī darbār meñ hotā
jis se maiñ galā kaaT sakūñ apnī anā kā
ai kaash vo lohā mirī talvār meñ hotā
hotā hī nahīñ zaḳhm jo bharne se ho qāsir
hotā to mire halqa-e-āzār meñ hotā
ik murġh-e-tamanna lab-e-aġhyār pe hotī
ik harf duā kā dil-e-ġham-ḳhvār meñ hotā
āñkhoñ meñ ujālā lab-o-ruḳhsār meñ ḳhushbū
ik dil bhī kahīñ sīna-e-dildār meñ hotā
kuchh bhi jo asasa dar-o-diwar mein hota
galiyon mein nahin ghar mera bazar mein hota
matam hi alag shahr-e-azadar mein hota
mujh sa jo kaleja kahin do-chaar mein hota
phir shah ne bai'at hi talab ki nahin warna
jo ran mein hua tha wahi darbar mein hota
jis se main gala kaT sakun apni ana ka
ai kash wo loha meri talwar mein hota
hota hi nahin zaKHm jo bharne se ho qasir
hota to mere halqa-e-azar mein hota
ek murgh-e-tamanna lab-e-aghyar pe hoti
ek harf dua ka dil-e-gham-KHwar mein hota
aankhon mein ujala lab-o-ruKHsar mein KHushbu
ek dil bhi kahin sina-e-dildar mein hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.