kuchh bhi miyan-e-dud dikhai nahin diya
kuchh bhī miyān-e-dūd dikhā.ī nahīñ diyā
hākim tujhe jumūd dikhā.ī nahīñ diyā
aayā ḳhayāl 'mīr' 'taqī' 'mīr' kā mujhe
apnā kahīñ vajūd dikhā.ī nahīñ diyā
tahrīk mere jazboñ ko is se mile sadā
kyoñ jalva-e-hasūd dikhā.ī nahīñ diyā
badlā sabhī ne rañg to ye bhī badal gayā
charḳh-e-kuhan kabūd dikhā.ī nahīñ diyā
sab fāsle ubuur nigāhoñ ne kar liye
chāroñ taraf umuud dikhā.ī nahīñ diyā
dushman kī saf meñ jis se mache khalbalī sadā
vo manzar-e-sujūd dikhā.ī nahīñ diyā
har shai guzar rahī hai taġhayyur se dosto
kuchh bhī to be-numūd dikhā.ī nahīñ diyā
maiñ jis ke ās-pās rahā umr bhar 'valī'
us ko mirā vajūd dikhā.ī nahīñ diyā
kuchh bhi miyan-e-dud dikhai nahin diya
hakim tujhe jumud dikhai nahin diya
aaya KHayal 'mir' 'taqi' 'mir' ka mujhe
apna kahin wajud dikhai nahin diya
tahrik mere jazbon ko is se mile sada
kyon jalwa-e-hasud dikhai nahin diya
badla sabhi ne rang to ye bhi badal gaya
charKH-e-kuhan kabud dikhai nahin diya
sab fasle ubur nigahon ne kar liye
chaaron taraf umud dikhai nahin diya
dushman ki saf mein jis se mache khalbali sada
wo manzar-e-sujud dikhai nahin diya
har shai guzar rahi hai taghayyur se dosto
kuchh bhi to be-numud dikhai nahin diya
main jis ke aas-pas raha umr bhar 'wali'
us ko mera wajud dikhai nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.