kuchh bhi na kahna kuchh bhi na sunna lafz mein lafz utarne dena
kuchh bhi na kahna kuchh bhi na sunna lafz mein lafz utarne dena
Farhat Ehsas
MORE BYFarhat Ehsas
kuchh bhī na kahnā kuchh bhī na sunñā lafz meñ lafz utarne denā
miTTī kā ye pyāla apne āb-e-hayāt se bharne denā
maiñ bhī mahz ik jism nahīñ huuñ tum bhī mahz ik ruuh nahīñ ho
jism-o-rūh ke 'aks ko un ke ā.īne meñ utarne denā
apne jism ke ā.īne se har ḳhāKī chilman ko haTā kar
sāmne baiThe rahnā mere ruuh ko merī sañvarne denā
sirf havā-e-mohabbat huuñ maiñ ā.ūñgā aur guzar jā.uñgā
bas itnā karnā mujh ko apne andar se guzarne denā
aur kisī sāhil par jā kar ubhrūñgā ek aur badan meñ
miTTī chhoḌ rahā huuñ maiñ mujh ko dariyā meñ utarne denā
tez havā-e-taġhāful ho tum maiñ huuñ gard-o-ġhubār-e-mohabbat
ḳhuub maza aa.egā mujh ko sāmne apne bikharne denā
is 'ehsās' ko mat uljhānā kisī bhī bahs-e-fanā-o-baqā meñ
jiinā chāhe to jiine denā marnā chāhe to marne denā
kuchh bhi na kahna kuchh bhi na sunna lafz mein lafz utarne dena
miTTi ka ye pyala apne aab-e-hayat se bharne dena
main bhi mahz ek jism nahin hun tum bhi mahz ek ruh nahin ho
jism-o-ruh ke 'aks ko un ke aaine mein utarne dena
apne jism ke aaine se har KHaKi chilman ko haTa kar
samne baiThe rahna mere ruh ko meri sanwarne dena
sirf hawa-e-mohabbat hun main aaunga aur guzar jaunga
bas itna karna mujh ko apne andar se guzarne dena
aur kisi sahil par ja kar ubhrunga ek aur badan mein
miTTi chhoD raha hun main mujh ko dariya mein utarne dena
tez hawa-e-taghaful ho tum main hun gard-o-ghubar-e-mohabbat
KHub maza aaega mujh ko samne apne bikharne dena
is 'ehsas' ko mat uljhana kisi bhi bahs-e-fana-o-baqa mein
jina chahe to jine dena marna chahe to marne dena
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 38)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.