kuchh bhi nahin hai baqi bazar chal raha hai
kuchh bhī nahīñ hai baaqī bāzār chal rahā hai
ye kārobār-e-duniyā bekār chal rahā hai
vo jo zamīñ pe kab se ik paañv par khaḌā thā
sunte haiñ āsmāñ ke us paar chal rahā hai
kuchh muzmahil sā maiñ bhī rahtā huuñ apne andar
vo bhī bahut dinoñ se bīmār chal rahā hai
shorīdgī hamārī aise to kam na hogī
dekho vo ho ke kitnā tayyār chal rahā hai
tum aao to kuchh us kī miTTī idhar udhar ho
ab tak to dil kā rasta hamvār chal rahā hai
kuchh bhi nahin hai baqi bazar chal raha hai
ye karobar-e-duniya bekar chal raha hai
wo jo zamin pe kab se ek panw par khaDa tha
sunte hain aasman ke us par chal raha hai
kuchh muzmahil sa main bhi rahta hun apne andar
wo bhi bahut dinon se bimar chal raha hai
shoridgi hamari aise to kam na hogi
dekho wo ho ke kitna tayyar chal raha hai
tum aao to kuchh us ki miTTi idhar udhar ho
ab tak to dil ka rasta hamwar chal raha hai
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 78)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 80)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.