kuchh bhi nahin hai pas mere ab siwae yaad
kuchh bhī nahīñ hai paas mire ab sivā.e yaad
sho.ala sā jal rahā hai dar-e-dil matā.a-e-yād
tanhā.iyoñ meñ bhī kabhī tanhā nahīñ huuñ maiñ
aa baiThtī hai paas mire bin-bulā.e yaad
shab-bhar maiñ lutf letā rahā huuñ isī tarah
saarī hī raat chaltī rahī hai havā-e-yād
aise bichhaḌ ki dil meñ koī baat rah na jaa.e
kyā jāniye ki phir kabhī aa.e na aa.e yaad
thak haar ke vo mere hī pahlū meñ so.egī
din bhar jo maarī maarī phirī saa.e saa.e yaad
kyā haal kar liyā hai zarā hāl-e-dil kaho
pahle to tum nahīñ the kabhī mubtalā-e-yād
maiñ kar to lūñgā tark-e-mohabbat magar 'yashab'
mumkin nahīñ ki us kī mire dil se jaa.e yaad
kuchh bhi nahin hai pas mere ab siwae yaad
shoala sa jal raha hai dar-e-dil mataa-e-yaad
tanhaiyon mein bhi kabhi tanha nahin hun main
aa baiThti hai pas mere bin-bulae yaad
shab-bhar main lutf leta raha hun isi tarah
sari hi raat chalti rahi hai hawa-e-yaad
aise bichhaD ki dil mein koi baat rah na jae
kya jaaniye ki phir kabhi aae na aae yaad
thak haar ke wo mere hi pahlu mein soegi
din bhar jo mari mari phiri sae sae yaad
kya haal kar liya hai zara haal-e-dil kaho
pahle to tum nahin the kabhi mubtala-e-yaad
main kar to lunga tark-e-mohabbat magar 'yashab'
mumkin nahin ki us ki mere dil se jae yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.