kuchh bhi to yahan hasb-e-maraatib nahin lagta
kuchh bhī to yahāñ hasb-e-marātib nahīñ lagtā
aur shikva-e-hālāt munāsib nahīñ lagtā
kyoñ us se kaheñ kuchh ki jo sun ke bhī rahe chup
aisā to muḳhātib bhī muḳhātib nahīñ lagtā
aatā bhī nahīñ sāmne kartā bhī nahīñ baat
mahbūb kahāñ vo to musāhib nahīñ lagtā
iblīs churā laayā hai kyā lauh-o-qalam bhī
vo mālik-e-taqdīr ye kātib nahīñ lagtā
insān se insāñ kā ta.āruf bhī nahīñ hai
sūrat se koī sādiq-o-kāzib nahīñ lagtā
shar jiit gayā haar gayā ḳhair yahāñ bhī
dil ab to mohabbat kā bhī tālib nahīñ lagtā
jis dard kī duniyā meñ davā.eñ nahīñ miltīñ
us dard kā iz.hār munāsib nahīñ lagtā
kuchh bhi to yahan hasb-e-maraatib nahin lagta
aur shikwa-e-haalat munasib nahin lagta
kyon us se kahen kuchh ki jo sun ke bhi rahe chup
aisa to muKHatib bhi muKHatib nahin lagta
aata bhi nahin samne karta bhi nahin baat
mahbub kahan wo to musahib nahin lagta
iblis chura laya hai kya lauh-o-qalam bhi
wo malik-e-taqdir ye katib nahin lagta
insan se insan ka taaruf bhi nahin hai
surat se koi sadiq-o-kazib nahin lagta
shar jit gaya haar gaya KHair yahan bhi
dil ab to mohabbat ka bhi talib nahin lagta
jis dard ki duniya mein dawaen nahin miltin
us dard ka izhaar munasib nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.