kuchh bhi to yahan hasb-e-tamanna nahin hota
kuchh bhī to yahāñ hasb-e-tamannā nahīñ hotā
aisā nahīñ hotā kabhī vaisā nahīñ hotā
kis vāste sar apnā bachāne pe tule ho
jab tak na kaTe sar koī ūñchā nahīñ hotā
mazdūr ke bachchoñ pe javānī nahīñ aatī
zardār jahāñ meñ kabhī būḌhā nahīñ hotā
rone se koī chiiz bhī hāsil nahīñ hotī
bārish se kabhī dasht to dariyā nahīñ hotā
ye raaz khulā qais ke anjām se 'azvar'
jo ishq meñ rusvā ho vo rusvā nahīñ hotā
kuchh bhi to yahan hasb-e-tamanna nahin hota
aisa nahin hota kabhi waisa nahin hota
kis waste sar apna bachane pe tule ho
jab tak na kaTe sar koi uncha nahin hota
mazdur ke bachchon pe jawani nahin aati
zardar jahan mein kabhi buDha nahin hota
rone se koi chiz bhi hasil nahin hoti
barish se kabhi dasht to dariya nahin hota
ye raaz khula qais ke anjam se 'azwar'
jo ishq mein ruswa ho wo ruswa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.