kuchh buri baat nahin sahab-e-iman hona
kuchh burī baat nahīñ sāhab-e-īmāñ honā
agar īmān se matlūb ho insāñ honā
barg-hā-e-gul-e-tar kā ye pareshāñ honā
jurm hai gul-kada-e-dahr meñ ḳhandāñ honā
jab kisī ġhunche ko khilte hue dekhā maiñ ne
aa gayā yaad vahīñ dil kā pareshāñ honā
ho gayā merī pareshāñ-nazarī kā baa.is
jalva-e-husn kā har samt farāvāñ honā
ahl-e-vahshat kā Thikānā bhī kahīñ to hotā
nahīñ be-sarfa bayābāñ kā bayābāñ honā
dam ġham-e-ishq kā bharte hue naale karnā
aarzū dard kī aur tālib-e-darmāñ honā
bā.is-e-hairat-e-arbāb-e-suḳhan hai 'mahrūm'
ahd-e-pīrī meñ tumhārā ye ġhazal-ḳhvāñ honā
kuchh buri baat nahin sahab-e-iman hona
agar iman se matlub ho insan hona
barg-ha-e-gul-e-tar ka ye pareshan hona
jurm hai gul-kada-e-dahr mein KHandan hona
jab kisi ghunche ko khilte hue dekha main ne
aa gaya yaad wahin dil ka pareshan hona
ho gaya meri pareshan-nazari ka bais
jalwa-e-husn ka har samt farawan hona
ahl-e-wahshat ka Thikana bhi kahin to hota
nahin be-sarfa bayaban ka bayaban hona
dam gham-e-ishq ka bharte hue nale karna
aarzu dard ki aur talib-e-darman hona
bais-e-hairat-e-arbab-e-suKHan hai 'mahrum'
ahd-e-piri mein tumhaara ye ghazal-KHwan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.