kuchh dagh mohabbat ke chhupane ke liye hain
kuchh daaġh mohabbat ke chhupāne ke liye haiñ
kuchh zaḳhm haiñ jo sab ko dikhāne ke liye haiñ
andāz ye saare to zamāne ke liye haiñ
ishve jo haiñ vo ham ko dikhāne ke liye haiñ
dikhlā.eñ bhalā kaise unheñ dil kī taḌap ham
shoḳhī-o-sitam ham ko satāne ke liye haiñ
kyoñ ham se sadā rakhte vo rasm-o-rah-e-ulfat
yārāne bahut un ko nibhāne ke liye haiñ
ma.alūm 'asar' ab huā anjām-e-mohabbat
ham ḳhud ko zamāne meñ miTāne ke liye haiñ
kuchh dagh mohabbat ke chhupane ke liye hain
kuchh zaKHm hain jo sab ko dikhane ke liye hain
andaz ye sare to zamane ke liye hain
ishwe jo hain wo hum ko dikhane ke liye hain
dikhlaen bhala kaise unhen dil ki taDap hum
shoKHi-o-sitam hum ko satane ke liye hain
kyon hum se sada rakhte wo rasm-o-rah-e-ulfat
yarane bahut un ko nibhane ke liye hain
malum 'asar' ab hua anjam-e-mohabbat
hum KHud ko zamane mein miTane ke liye hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.