kuchh dard baDha hai to mudawa bhi hua hai
kuchh dard baḌhā hai to mudāvā bhī huā hai
har-sū dil-e-betāb kā charchā bhī huā hai
purze bhī uḌe haiñ mirī vahshat ke sar-e-rāh
nazroñ meñ hamārī ye tamāshā bhī huā hai
phūTe haiñ kahīñ aah bhare dil ke phaphole
pāmāl koī shahr-e-tamannā bhī huā hai
maanā ki kaḌī dhuup meñ saa.e bhī mile haiñ
is raah meñ har moḌ pe dhokā bhī huā hai
raushan to hai yaḳh-basta fazāoñ meñ koī aag
tārīkī-e-zindāñ meñ ujālā bhī huā hai
har lamha koī hādisa roke hai mire paañv
har pal kisī ḳhvāhish kā taqāzā bhī huā hai
kis moḌ pe aa pahuñchā hai 'shāhid' ye zamāna
raftār qayāmat kī hai Thahrā bhī huā hai
kuchh dard baDha hai to mudawa bhi hua hai
har-su dil-e-betab ka charcha bhi hua hai
purze bhi uDe hain meri wahshat ke sar-e-rah
nazron mein hamari ye tamasha bhi hua hai
phuTe hain kahin aah bhare dil ke phaphole
pamal koi shahr-e-tamanna bhi hua hai
mana ki kaDi dhup mein sae bhi mile hain
is rah mein har moD pe dhoka bhi hua hai
raushan to hai yaKH-basta fazaon mein koi aag
tariki-e-zindan mein ujala bhi hua hai
har lamha koi hadisa roke hai mere panw
har pal kisi KHwahish ka taqaza bhi hua hai
kis moD pe aa pahuncha hai 'shahid' ye zamana
raftar qayamat ki hai Thahra bhi hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.