kuchh dard kuchh aziyyaten KHat par utar ke

kuchh dard kuchh aziyyaten KHat par utar ke
Munawwar Tabish Sambhali
MORE BYMunawwar Tabish Sambhali
kuchh dard kuchh aziyyateñ ḳhat par utaar ke
bheje haiñ un ko hijr ke manzar utaar ke
maqtal meñ siskiyoñ kī sadā.eñ buland haiñ
ye kaun ro rahā hai mirā sar utaar ke
ham ne shab-e-siyāh ko rangīn kar liyā
dil meñ kisī kī yaad kā ḳhanjar utaar ke
ḳhush huuñ ki jaise daulat-e-kaunain mil ga.ī
siine meñ un ke ġham kā samundar utaar ke
āñkhoñ ko band kar ke maiñ kyā sochtā rahā
guzrī huī bahār kā manzar utaar ke
vo shaḳhs zinda ho ke bhī hai zindagī se duur
jiitā hai jo shu'ūr kā zevar utaar ke
'tābish' jo chāhte ho mileñ sar-bulandiyāñ
rakh do ta'assubāt kī chādar utaar ke
kuchh dard kuchh aziyyaten KHat par utar ke
bheje hain un ko hijr ke manzar utar ke
maqtal mein siskiyon ki sadaen buland hain
ye kaun ro raha hai mera sar utar ke
hum ne shab-e-siyah ko rangin kar liya
dil mein kisi ki yaad ka KHanjar utar ke
KHush hun ki jaise daulat-e-kaunain mil gai
sine mein un ke gham ka samundar utar ke
aankhon ko band kar ke main kya sochta raha
guzri hui bahaar ka manzar utar ke
wo shaKHs zinda ho ke bhi hai zindagi se dur
jita hai jo shu'ur ka zewar utar ke
'tabish' jo chahte ho milen sar-bulandiyan
rakh do ta'assubaat ki chadar utar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.