Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh der hui hai ki main bebak hua hun

Syed Tamjeed Haider Tamjeed

kuchh der hui hai ki main bebak hua hun

Syed Tamjeed Haider Tamjeed

MORE BYSyed Tamjeed Haider Tamjeed

    kuchh der huī hai ki maiñ bebāk huā huuñ

    jab apne maazī pe alamnāk huā huuñ

    thī fikr jo mahdūd to thā ḳhaak zarra

    jab aañkh khulī zīnat-e-aflāk huā huuñ

    qabl is ke ki bāhar se koī aa ke batā.e

    maiñ apne ḳhud aap meñ chālāk huā huuñ

    kyā un ko ḳhabar hai jo falak kahte haiñ mujh ko

    maiñ apnī bulandī ke liye ḳhaak huā huuñ

    jab chāhe utar jaa.e tirī ruuh se 'tamjīd'

    kahtā hai tirā jism ki poshāk huā huuñ

    kuchh der hui hai ki main bebak hua hun

    jab apne hi mazi pe alamnak hua hun

    thi fikr jo mahdud to tha KHak ka zarra

    jab aankh khuli zinat-e-aflak hua hun

    qabl is ke ki bahar se koi aa ke batae

    main apne hi KHud aap mein chaalak hua hun

    kya un ko KHabar hai jo falak kahte hain mujh ko

    main apni bulandi ke liye KHak hua hun

    jab chahe utar jae teri ruh se 'tamjid'

    kahta hai tera jism ki poshak hua hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now